Sard Raaton Ki Tanhaai Mein,
Hum Teri Yaadon Ke Chirag Jalaye Bethe Hai,
Kabhi To Tum Zindagi Ki Haqeeqt Banogi,
Sochkar Palkon Mein Khwab Sajaye Bethe Hai!
Tumhare Saath Ke Lamhe Har Waqt Sata-te Hai,
Ab Tumhare Aane Ki Bus Aas Lagaye Bethe Hai,
Aankhon Mein Ashkon Ko Ab Rok Nahi Pate,
Ki Dil Ko Zabaran Sambhale Huye Bethe Hai!
Kaash Tum Mere Dard-E-Dil Ko Samajh Paao,
Hum Jo Seene Mein Abhi Tak Dabaye Bethe Hai,
Par Woh Jo Humse Dard Bayaan Nahi Karte,
Rehkar Khamosh Konsa Raaz Chhipaye Bethe Hai!
Khushi Bhale Thodi Si Par Dene Ke Liye Shukriya,
Paigam Tere Bheje Huye Seene Se Lagaye Bethe Hai,
Hai Ek Tasveer Bhi Nighahon Mein Teri,
Bus Ab Usiko Mann Ki Murat Banaye Bethe Hai!
Tujhe Yaad Karna Teri Raah Takna Hurdum,
Sab Bhulakar Ab Yeh Ek Naya Kaam Liye Bethe Hai,
Janta Hun Tujhe Paane Ki Khushi-E-Anzaam “SHAMA”,
Fir Bhi Hum Naadan Tumhi Se Dil Lagaye bethe Hai!
Meri Khamoshhi Thi Jo Seh Gayi Uski Yaadein Hi Ab Iss Dil Mein Reh Gayi Thi Shayad Uski Bhi Koi Majboorijo Meri Zindagi Ki Yeh Kahani Adhoori Reh Gayi
ReplyDelete