Friday, November 18, 2011

Kuch Waqt Tanhai Mein Beetaya Toh


Kuch Waqt Tanhai Mein Beetaya Toh
Kuch Yaadein Taza Ho Gayi
Raah Mein Mila Tha Koi Saathi
Kaise Mujh Se Bewafa Ho Gayi
Dil Par Likha Tha Jiska Naam Humne Bade Pyar Se
Kaise Rooh Us Se Juda Ho Gayi
Abh Soch Ker Hum Roh Toh Pade Hain
Magar Phir Sochta Hoon Ab Bahut Der Hogayi
Kuch Waqt Toh Woh Bhi Thehra Tha Uss Mod Per
Jahan Rooh Badan Se Juda Ho Gayi

Mere Wajood Ki Jageer Us Ne Mangi Hai


Mere Wajood Ki Jageer Us Ne Mangi Hai
Ajab Khawab Ki Tabeer Us Ne Mangi Hai

Us Ki Qaid Mein Retha Hoon Mein Pehle Bhi
Najane Phir Kyun Zanjeer Us Ne Mangi Hai

Gaman Hota Hai Wo Bhool Sakta Hai Mujhe
Kyun K Aaj Meri Tasveer Us Ne Mangi Hai

Mere Khuda Mujhe Us K Naseeb Mein Likh De
Ke Us Ne Meri Taqdeer Mujhe Se Mangi Hai

zindagi tujh se har ek saans main samjootha karoon


meri tasweer main rang kisi aur ka to nahi
ghaer-len mujh ko sab aankhein main tamasha to nahi

zindagi tujh se har ek saans main samjootha karoon
shauqh jeene ka hai mujh ko, magar itna to nahi

chehra dekhon to qad-o-qaal badal jaatey hain
chup ke aainey ke peechey, koi baitha to nahi

kis ki mitti ko nachatey hain hawaoon key bhawar
koi aawara wehshat hai, bagola to nahi.

rooh ko dard mila, dard ko aankhein na milien
tujh ko mehsoos kiya hai, tujh ko dekha to nahi

meri aankhon main tere naqsh-o-qadam kaise hain
is saraye main, musafir koi tehra to nahi

sochte sochte dil doobne lagta hai
zehen ki teh main muzaffar koi darya to nahi.

Yoon na mil mujh se Khafaa ho jaise


Yoon na mil mujh se Khafaa ho jaise
saath chal mauj-e-sabaa ho jaise
log yuun dekh kar hans dete hain
tuu mujhe bhool gayaa ho jaise
ishq ko shirk kii hadh tak na badhaa
yuun na mil hamse Khudaa ho jaise
maut bhii aaii to iss naaz ke saath
mujh pe ehasaan kiyaa ho jaise
aise anjaan bane baithe ho
tum ko kuchh bhii na pataa ho jaise
hichkiyaan raat ko aatii hii rahiin
tuu ne phir yaad kiyaa ho jaise
zindagii beet rahii hai
ek bejurm sazaa ho jaise

Wo Keh Ke Chalay Itni Mulaqat Bohot Hay

Wo Keh Ke Chalay Itni Mulaqat Bohot Hay 
Main Nay Kaha Ruk Jao Abhi Raat Bohot Hay 
Aansoo Mere Thum Jayein To Phir Shoq Say Jana 
Aisay Main Kahan Jao Gi Bersaath Bohot Hay 
Wo Keh Nay Lagi Jana Mera Bohot Zarori Hay 
Nahi Chahti Dil Toron Tera Per Majboree Hay 
Agar Ho Koi Khata To Maaf Ker Dena 
Main Nay Kaha Hojao Chup Itni Kahi Baat Bohot Hay 
Samajh Gaya Hon Sab Aur Kuch Kaho Zarori Nahi 
Bas Aaj Ki Raat Ruk Jao, Jana Itna Bhi Zarori Nahi Hay 
Phir Kabhi Na Aaonga Tumhari Zindagi Mein Lot Ke 
SARI ZINDAGI TANHAYEE KE LIYE AAJ KI RAAT BOHOT HAY