Sunday, November 20, 2011

Dil ne tume chaha bhi bahut hai,


Dil ne tume chaha bhi bahut hai,
Hum ne tume maanga bhi bahut hai,,

Chahe tou pooch lo apne dil se,
Hum ne tume pukara bhi bahut hai,,

Andheri si raat mein awaaz si aayi,
Iss raat ke baad ujaala bhi bahut hai,,

Dur huye tou yeh ehsaas hua,
Yeh dil udaas bhi bahut hai,,

Raha bhi nahi jata aik pal dur tumse,
Kya karen hume tumse Pyar bhi bahut hai

Mere Wajood Ki Jageer Ussne Mangi Hai,


Mere Wajood Ki Jageer Ussne Mangi Hai,
Ajab Khawab Ki Tabeer Ussne Mangi Hai,,

Usski Qaid Me Rehti Hoon Mein Pehle Bhi,
Naa Jaane Phir Kyun Zanjeer Uss Ne Mangi Hai,,

Guman Hota Hai Woh Bhool Sakta Hai Mujhe,
Kyunke Aaj Meri Tasveer Ussne Mangi Hai,,

Mere Khuda Mujhe Usske Naseeb Me Likh De,
Ke Mujh Se Meri Hi Taqdeer Ussne Mangi Hai….

Mohabbat Mein Aazmaeish Nahein Ki Jaati..,


Mohabbat Mein Aazmaeish Nahein Ki Jaati..,
Isse nibhaney ki farmaeish nahein ki jaati,,

Piyar mein aatey hein qaddam qaddam sakht muqam,
Dil ke zakhmon ki tu numeish nahein ki jaati,,

Hijjar mein jo milne lagge wassal ka lutff,
Tu phir milne ki khawaish nahein ki jaati,,

Aggar nah milna hi ho waqt ka taqqaza,
Esse mein tu milne ki laghzish nahein ki jaati,,

Khush naseebi se jo mill bethein do dil,
Tu zamane mein uski zaibaeish nahein ki jaati,,

Jin ko ho millna aur woh mill nah paein,
Dil se kabhi bhi woh hasarat-o-yaas nahein jaati,,

Ye Zamanay Ki Wafa Mere Kaam Ke Nahi,


Ye Zamanay Ki Wafa Mere Kaam Ke Nahi,
Mujhay Us Ki Wafa Chahiye Kisi Aam Ki Nahi

Us Ki To Aik Muskurahat Bhi Anmool Thi,
Ye Tamaam Muskurahatain Kisi Daam Ki Nahi

Mujhay Gham Hai To Us Ke Chin Janay Ka Hai
Parwa Mujh Par Lagay Ilzaam Ki Nahi,

Mera Haath Dekh Kar Sub Ye Bolay
Bohut Si Chahatain Teray Liye Hain

Baaqi Lekin Teray Haath Me Koi Bhi
Lakeer Us Ke Naam Ki Nahi..

Masoom si mohabbat ka bus itna sa fasana hai..


Masoom si mohabbat ka bus itna sa fasana hai..
kagaj ki haveli hai, baarish ka zamaana hai..

kya shart-e-mohabbat hai, kya shart-e-zamana hai..
awaz bhi jakhmi hai aur wo geet bhi gana hai..

uss per utrne ki umeed bahut kam hai..
kashti bhi puraani hai, tufaan bhi aana hai..

samajhe ya na samjhe wo andaaz-e-mohabbat ka..
bheegi hui ankho se ek sher sunaana hai..

bholi si ada, koi fir ishq ki jid par hai..
fir aag ka dariya hai.. aur doob hi jana hai