Wednesday, February 23, 2011

Tumhi ko chahtey rehna acha lagta hai..


Bhari mehfil main tanha rehna acha lagta hai
Terey barey main sochtey rehna acha lagta hai .

Kabhi phulon main ,kabhi kaliyon main
Tujh ko hi dhundtey rehna acha lagta hai

Meree zindagi ki khushiyan tumhee say hain wabasta
Rab say sirf tumhein hi mangna acha lagta hai

Hamarey darmiyan hai sadiyon ka fasla
Kuch is tarhan guftugu karna acha lagta hai

Tumhrey baghir zindagi ka koi tasavur nahi hai
Kuch is tarhan tumhari tamanna karna achha lagta hai

Tum hi ko chaha,tum hi ko chahtey hain Tumhi ko chahtey rehna acha lagta hai..

Jindagi Kam Hai,.. Jine Ke Liye…

 
Jindagi Kam Hai-Kuch Pane Ko,
Jindagi Kam Hai-Kuch Bantane Ko,

Jindagi Kam Hai-Kuch Kehne Ko,
Jindagi Kam Hai-Kuch Sunne Ko,

Jindagi To Ek Naam Hai,
Jina To Bas Ek Khwab Hai,

Isi Khwab Mein Pure Karne Hai,
Hansi Armaan Jivan Ke,

To Utho, Jaldi Karo, Kyonki,
Jindagi Kam Hai-Jine Ke Liye.

Zindagi mein mil gaya phir woh...


 

Zindagi mein, mil gaya phir wo,
Ek raat ki baat hai

Kuch keh nahi paye hum
Waqt ki baat hai

Aankhon se aasu baraste rahe
Jasbat ki baat hai

Kuch na kaha kar bhi, sab kah gaya woh,
Andaz ki baat hai,

Chah kar bhi na rok seke use hum,
Halat ki baat hai,

Who kisi aur ka hai
Kismet ki baat hai

Yeh kehna na kisi se tum
Raaz ki baat hai

Mere Humsafar Kisi Roz tu


 Mere Hmsafr kisi Roz Tu..
Mere paas aa Mere Ru_ba_Ru

Kisi roz sun meri Guftagu,
Meri Chahton me basi hoi,

Mere Ansuon sy bhari hoi,
Meri shab k Lamhy shumar kr,

Meri Zindagi na azab kr,
Wo Lafz tere jo nayab hon,

Wohi Lafz Mere Naam kr,
Mujy ly k tu kahin dor Chal,

Zara hath mera Tham kr,
Mere Humsafr kisi Roz tu,

Mere pas a mere Ru_ba_Ru
Meri khawhishon ko umid dy

Meri zindgi ko naved dy
Mere hmsfar kisi roz tu

mere pas a mere ru_ba_ru…

Mujhe yeh aaj batane ki ijazat dedo…

 

Dil mein basane ki khud ko iski ijazat dedo,

Mujhko tum apna banane ki ijazat dedo.

Tum meri zindagi ki ek haseen lamha ho,

Phoolon se khud ko sajanay ki ijazat dedo.

Main kitna chahta hoon kiss tarha bataoon tumhe
,
Mujhe yeh aaj batane ki ijazat dedo,

Tumhari raat si zulfon mein chand sa chehra,

Mujhe yeh sham sajane ki ijazat dedo.

Mujhe qaid kar lo apne ishq mein,

Yeh jaan tum pe lootane ki ijazat dedo.

Mujhe Tum Apne Aap Mein Khone Do....

 
Aaj Mujhe Ek Gunaah Karne Do,

Mujhe Tum Apne Aap Mein Khone Do,
Apne Aapko Meri Aagosh Mein Karke,

Mujhe Pariyo Ke Des Mein Khone Do,
Apni Chudiyon Ki Khan Khan Se

Mere Kaanon Mein Ras Gholne Do,

Apne Lambe Kaale Baalon Se
Ek Ghata Sawan Hone Do,

Apne Honthon Se Phir Mujhe
Ek Ghunt Jaam Pine Do,

Apni Muskurahat Se Phir Ek Seher Hone Do,
Apne Dilki Dhadkan Ko Aaj Betartib Hone Do,

Aaj Maine Teri Aankhon Mein Phir Dekha Hai Apne Aapko,
Na Band Karna Ye Palkein Kuch Der Ke Liye To Apna Hone Do,

Aaj Mujhe Ek Gunah Karne Do,
Mujhe Tum Apne Aap Mein Khone Do…

Ajeeb sa dil me ek ehsaas hai…



Ajeeb sa dil me ek ehsaas hai…
Lagta hai milne wala tohfa kuchh khas hai…
Na khel iss dil se iss kadar ae khuda…
Aaj bas me nahi hamare jazbaat hain…
Kabhi lagta hai dur hai to kabhi lagta paas hai…

Mausam me na jane kya baat hai…
Dil jhoom uthta hai achanak aise…
Jaise koi har waqt dil ke paas hai…
Na khel iss dil se iss kadar ae khuda…
Aaj bas me nahi hamare jazbaat hain…

Shayar ban baithe hai yuhi ya isme bhi koi baat hai…
Dil nahi samajhta jane kya raaz hai…

Koi bata de hume zara…
Uljhan yeh din raat hai…
Na khel iss dil se iss kadar ae khuda…
Aaj bas me nahi hamare jazbaat hai…

Wo college ke dino mein hamaari pehli mulakat


Wo college ke dino mein hamaari pehli mulakat
Wo chhp chhup ke ki gayi tumse meethi meethi baat
Wo shararat bhari nazarein tumhari
Wo jhuki jhuki si palkein hamaari
Wo raaton ko karvatein badalna
Wo din bhar tumhare baare mein sochna
Wo sab ke saamne seena taankar tumhara pyar ka izhaar karna
Wo sile honthon se muskura kar hamein uska ikraar karna
Kitni khushiyan aayi thi mere soone jeevan mein
Phir kahan se aa gayi patjhad pyar ke saawan mein
Badalte mausam ki tarah tum bhi badal gaye
Mera saath chhod kad kisi aur ke ho gaye
Apni jaan se azeez mohabbat ko humne khoya hai
Haan mera dil khoon ke aansoo roya hai
Shikayat mujhe tumse nahi apni dhadkan se hoti hai
Jo kisi se to kuchh nahi kehti par akele mein roti hai

Ek tooti PREM KAHANI-.............


Ek tooti PREM KAHANI-
Fark Sirf Itna Sa Hai,

Uski Barat Gayi,
Meri Maut AAi,

Phool Us Par B The,
Phool Mujh Par B The,

Mahfil Vaha B Thi,
Log Yaha B The,

Unka Hasna Vaha,
Inka Rona Yaha,

Saheliya Uski B Thi,
Dost Mere B The,

Kaji Udhar B Tha,
Molvi Idhar B Tha,

wo Saj K Gayi,
Mujhe Sajaya Gaya,

wo Uth K Gayi,
Mujhe Uthaya Gaya,

Fark Sirf Itna Sa Hai,
Use APNAYA Gaya
Or
Mujhe DAFNAYA Gaya……!!!

Jab Uski Dhun Mein Raha Karte The


Jab Uski Dhun Mein Raha Karte The
Hum Bhi Chup Chap Jiya Karte The
Aakhon Mein Pyas Hua Karti Thi
Dil Mein Tufaan Utha Karte The

Log Aate The Gajal Sunne
Hum Uski Baat Kiya Karte The
Sach Samajhte The Uske Vado Ko
Raat Din Ghar Me Raha Karte The

Kisi Viraane Mein Usse Milkar
Phool Khila Karte The
Ghar Deewar Sajaane Ki Khaatir
Hum Naam Unka Likha Karte The

Kal Usko Dekhkar Yaad Aaya
Hum Bhi Kabhi Mohabbat Kiya Karte The

Youn hi tanhai mein ab dil ko saza detay hain.


Youn hi tanhai mein ab dil ko saza detay hain.

Naam likhtay hain tera likh k mita datay hain.

Jab B nakam mohabbat ka koi zikar karay.

Log hanstay hain mera naam bata datay hain.

Ab khushi ki koi tarkeeb na sojhay.

Ab ye aalam hai k gham hi maza detay hain.

Kya zarorat hai k detay ho khud ko ye zahmat.

Lao hum khud hi nashaimen ko jala detay hain.

Ab tasalli nahi di jati mareez-e-gham ko.

Dekhnay walay B marnay ki DUa detay hain

Kuch Un Ki Wafaon Ne Loota


Kuch Un Ki Wafaon Ne Loota

Kuch Un Ki Inayat Maar Gae,

Hum Raz-E-Mohabat Keh Na Saky

Chup Rehny Ki Aadat Maar Gae,

Dil Ne Bhi Bahut Majboor Kiya

Milne Bhi Lakhon Baar Gaye,

Jee Bhar K Unhein Na Dekh Saky

Aankhon Ki Sharafat Maar Gae,

Wo Kon Hy Jin Ko Jeeny Ka Pegham Mohabat Deti Hai,

Hum Ko Tu Zamane Main Ae Dil Be-Dard Mohabat Maar Gae,

Donon Se Hi Shikayat Hai

Ilzam Ab Kis Pr Lagayen,

Kuch Dil Ne Hamain Barbaad Kiya

Kuch Apni Qismat Maar Gae.