Sunday, November 20, 2011

Dil ne tume chaha bhi bahut hai,


Dil ne tume chaha bhi bahut hai,
Hum ne tume maanga bhi bahut hai,,

Chahe tou pooch lo apne dil se,
Hum ne tume pukara bhi bahut hai,,

Andheri si raat mein awaaz si aayi,
Iss raat ke baad ujaala bhi bahut hai,,

Dur huye tou yeh ehsaas hua,
Yeh dil udaas bhi bahut hai,,

Raha bhi nahi jata aik pal dur tumse,
Kya karen hume tumse Pyar bhi bahut hai

Mere Wajood Ki Jageer Ussne Mangi Hai,


Mere Wajood Ki Jageer Ussne Mangi Hai,
Ajab Khawab Ki Tabeer Ussne Mangi Hai,,

Usski Qaid Me Rehti Hoon Mein Pehle Bhi,
Naa Jaane Phir Kyun Zanjeer Uss Ne Mangi Hai,,

Guman Hota Hai Woh Bhool Sakta Hai Mujhe,
Kyunke Aaj Meri Tasveer Ussne Mangi Hai,,

Mere Khuda Mujhe Usske Naseeb Me Likh De,
Ke Mujh Se Meri Hi Taqdeer Ussne Mangi Hai….

Mohabbat Mein Aazmaeish Nahein Ki Jaati..,


Mohabbat Mein Aazmaeish Nahein Ki Jaati..,
Isse nibhaney ki farmaeish nahein ki jaati,,

Piyar mein aatey hein qaddam qaddam sakht muqam,
Dil ke zakhmon ki tu numeish nahein ki jaati,,

Hijjar mein jo milne lagge wassal ka lutff,
Tu phir milne ki khawaish nahein ki jaati,,

Aggar nah milna hi ho waqt ka taqqaza,
Esse mein tu milne ki laghzish nahein ki jaati,,

Khush naseebi se jo mill bethein do dil,
Tu zamane mein uski zaibaeish nahein ki jaati,,

Jin ko ho millna aur woh mill nah paein,
Dil se kabhi bhi woh hasarat-o-yaas nahein jaati,,

Ye Zamanay Ki Wafa Mere Kaam Ke Nahi,


Ye Zamanay Ki Wafa Mere Kaam Ke Nahi,
Mujhay Us Ki Wafa Chahiye Kisi Aam Ki Nahi

Us Ki To Aik Muskurahat Bhi Anmool Thi,
Ye Tamaam Muskurahatain Kisi Daam Ki Nahi

Mujhay Gham Hai To Us Ke Chin Janay Ka Hai
Parwa Mujh Par Lagay Ilzaam Ki Nahi,

Mera Haath Dekh Kar Sub Ye Bolay
Bohut Si Chahatain Teray Liye Hain

Baaqi Lekin Teray Haath Me Koi Bhi
Lakeer Us Ke Naam Ki Nahi..

Masoom si mohabbat ka bus itna sa fasana hai..


Masoom si mohabbat ka bus itna sa fasana hai..
kagaj ki haveli hai, baarish ka zamaana hai..

kya shart-e-mohabbat hai, kya shart-e-zamana hai..
awaz bhi jakhmi hai aur wo geet bhi gana hai..

uss per utrne ki umeed bahut kam hai..
kashti bhi puraani hai, tufaan bhi aana hai..

samajhe ya na samjhe wo andaaz-e-mohabbat ka..
bheegi hui ankho se ek sher sunaana hai..

bholi si ada, koi fir ishq ki jid par hai..
fir aag ka dariya hai.. aur doob hi jana hai

Friday, November 18, 2011

Kuch Waqt Tanhai Mein Beetaya Toh


Kuch Waqt Tanhai Mein Beetaya Toh
Kuch Yaadein Taza Ho Gayi
Raah Mein Mila Tha Koi Saathi
Kaise Mujh Se Bewafa Ho Gayi
Dil Par Likha Tha Jiska Naam Humne Bade Pyar Se
Kaise Rooh Us Se Juda Ho Gayi
Abh Soch Ker Hum Roh Toh Pade Hain
Magar Phir Sochta Hoon Ab Bahut Der Hogayi
Kuch Waqt Toh Woh Bhi Thehra Tha Uss Mod Per
Jahan Rooh Badan Se Juda Ho Gayi

Mere Wajood Ki Jageer Us Ne Mangi Hai


Mere Wajood Ki Jageer Us Ne Mangi Hai
Ajab Khawab Ki Tabeer Us Ne Mangi Hai

Us Ki Qaid Mein Retha Hoon Mein Pehle Bhi
Najane Phir Kyun Zanjeer Us Ne Mangi Hai

Gaman Hota Hai Wo Bhool Sakta Hai Mujhe
Kyun K Aaj Meri Tasveer Us Ne Mangi Hai

Mere Khuda Mujhe Us K Naseeb Mein Likh De
Ke Us Ne Meri Taqdeer Mujhe Se Mangi Hai

zindagi tujh se har ek saans main samjootha karoon


meri tasweer main rang kisi aur ka to nahi
ghaer-len mujh ko sab aankhein main tamasha to nahi

zindagi tujh se har ek saans main samjootha karoon
shauqh jeene ka hai mujh ko, magar itna to nahi

chehra dekhon to qad-o-qaal badal jaatey hain
chup ke aainey ke peechey, koi baitha to nahi

kis ki mitti ko nachatey hain hawaoon key bhawar
koi aawara wehshat hai, bagola to nahi.

rooh ko dard mila, dard ko aankhein na milien
tujh ko mehsoos kiya hai, tujh ko dekha to nahi

meri aankhon main tere naqsh-o-qadam kaise hain
is saraye main, musafir koi tehra to nahi

sochte sochte dil doobne lagta hai
zehen ki teh main muzaffar koi darya to nahi.

Yoon na mil mujh se Khafaa ho jaise


Yoon na mil mujh se Khafaa ho jaise
saath chal mauj-e-sabaa ho jaise
log yuun dekh kar hans dete hain
tuu mujhe bhool gayaa ho jaise
ishq ko shirk kii hadh tak na badhaa
yuun na mil hamse Khudaa ho jaise
maut bhii aaii to iss naaz ke saath
mujh pe ehasaan kiyaa ho jaise
aise anjaan bane baithe ho
tum ko kuchh bhii na pataa ho jaise
hichkiyaan raat ko aatii hii rahiin
tuu ne phir yaad kiyaa ho jaise
zindagii beet rahii hai
ek bejurm sazaa ho jaise

Wo Keh Ke Chalay Itni Mulaqat Bohot Hay

Wo Keh Ke Chalay Itni Mulaqat Bohot Hay 
Main Nay Kaha Ruk Jao Abhi Raat Bohot Hay 
Aansoo Mere Thum Jayein To Phir Shoq Say Jana 
Aisay Main Kahan Jao Gi Bersaath Bohot Hay 
Wo Keh Nay Lagi Jana Mera Bohot Zarori Hay 
Nahi Chahti Dil Toron Tera Per Majboree Hay 
Agar Ho Koi Khata To Maaf Ker Dena 
Main Nay Kaha Hojao Chup Itni Kahi Baat Bohot Hay 
Samajh Gaya Hon Sab Aur Kuch Kaho Zarori Nahi 
Bas Aaj Ki Raat Ruk Jao, Jana Itna Bhi Zarori Nahi Hay 
Phir Kabhi Na Aaonga Tumhari Zindagi Mein Lot Ke 
SARI ZINDAGI TANHAYEE KE LIYE AAJ KI RAAT BOHOT HAY

Monday, November 14, 2011

Ishq Ka intezar Koun kare

Ishq Ka intezar Koun kare
Toot kar itna Pyaar Koun kare
Ruthe Aise Me Ke Hum Bhi
Minnatein Ab Hazar Koun Kare
Niyamatein Beshumaar Hain Usski
Zoq-E-Sajda Shumaar Koun Kare
Dil Bhi Janat Hai Apni Duniya Me
Hashr Ka intezar Koun Kare
Pyaar Ki Aag Me Hain Parwane
Aisi Takleef Yaar Koun Kare
Faqeer Bhi Shahinsha Hai Duniya Ka
Raham Ab iqtiyar koun kare

Ek Nsha Hai Teri Ankho Me

Ek Nsha Hai Teri Ankho Me Ek Ada Hai Teri Bato Me Vrna U Hi Nhi Bhkte Hum 2-4 Mulakato Me Kuch Chand Sa Hai Chehra Ye Kuch Chamk Hai Jiski Ankho Me Bhla Kyu Nhi So Pate Hum In Roshn Chandni Rato Me Kuch Suna Hai Teri Dhadkan Se Kuch Chupa Hai Tere Hotho Me Ab Ijhar E Mohabbat Kr Bhi De N Bahala U Mujhko Bato Me Ek Nsha Hai Teri Ankho Me, Kuch Ada Hai Teri Bato Me…

Monday, July 11, 2011

Kuch Teer se darte hain

Kuch Teer se darte hain,
Kuch Talwar se darte hain,
Koi do Nayano ke vaar se darte hain,
Bahut tej chalte hai kuch log zindagi mai,
Kuch aise bhi hain jo rafter se darte hain,
Yakin hai agar Rabb ki rehmat par,
Phir kyon log intezaar se darte hain,
Karte hain Mohhabat to rakhte hain parda,
Pata nahi kyon izhar se darte hain,
Lagi hai chot Dil par jinke,
Kuch ‘‘MERE’’ jaise bhi hain jo Pyar se darte hain…………

Kuch Khushi k saye me or kuch Ghamo k Sath Sath,

 

Kuch Khushi k saye me or kuch Ghamo k Sath Sath,
Zindgi kat hi gayi hai uljhano k Sath Sath,
Aj tak uski thakan se dukh raha hai ye Badan,
Ek safar mene kiya tha khuwahisho k Sath Sath,
Kis tarha khaya hai dhoka kya bataon me tumhein,
Doston k Mashwaray thay Sazishon k Sath Sath,
Is dafa sawan me teri YAAD k badal rahe,
Is dafa me khub roya barishon k Sath Sath,
Shaher me kuch log mere Chahnay walay b hai,
Phool b Lag rahe hai Pathro k Sath Sath.

Thursday, June 2, 2011

Kho kar mujhay panay ki tamanna na karo tum

 Kho kar mujhay panay ki tamanna na karo tum
yon apni muhabbat ko to ruswa na karo tum
Hay tum ko agar ham say taghaful ki shikayat
haal dil e bimaar sunaya na karo tum
Ek baar bhula kar, jo sao baar jataen
ehsan kabhi un ka uthaya na karo tum
Pchhtanay say to behtar Qamar baat yehi hay
hargiz kabhi apnon pe bharosa na karo tum

Wednesday, April 13, 2011

Aye kaash kisi dil se paigaam aaye koi


 Aye kaash kisi des se paigaam aaye koi,
mujhe bhi chahe aur dil mein basaye koi.
koi bechaini se karta ho mera bhi intezaar,
apni aankhon mein mere khwaab sajaye koi.
koi shikwa kiye bina hi mere naaz uthaye,
mein rooth jaoon to pyaar se manaye koi.
koi aisa ho jo har lamha mere deedaar ko tarse,
beqarari se mujhe paas bulaye koi.
koi mujhko bhi seene se lagane wala ho,
shararat kare aur mujhko sataye koi.
mera bhi is duniya se chale jaane ka waqt aaye ga,
mein mar jaoon to meri maut pe aansoo bahaye koi.

Lets play The Three Tag!


Well, here is something I always thought of doing since I started blogging a year ago and nobody tagged me yet so I thought tagging my self. :)
Three things that scare me:1. Losing dear ones
2. Lizard
3. Loads of make up

Three things which makes me laugh:1. Cute Kids
2. Tom & Jerry
3. Mr. Bean on Pogo TV

Three things I love:
1. India
2. Of course my family
3. Still searching for

Three things I hate:1. Non veg
2. Religion
3. Habits like : smoking / drinking (wine)

Three things I don’t understand:1. why students try to suicide when they fail in exams.
2. Why we can’t eradicate poverty when we can print currency.
3. From where does those lizards and cockroaches come when I virtually close all the entries into my home
Three things on my desk:1. a notepad and pen
2. My mobile
3. my desktop Pc Which I am going to buy within a week or two.
Three things I am doing right now:1. Doing SEO (search engine optimization)
2. Chatting with some friends
3. Obviously writing this post!
Three things I want to do before I die:1. Fly a fighter plane like Sukhoi or X-32 Joint Strike Fighter
2. Be billionaire
3. Adopt a girl child
Three things I want to see before I die:1. Indian companies overtaking US mnc like Microsoft ,IBM etc…
2. 1 Rupee = 45 $
3. complete eradication of terrorism and poverty.
Three things I can do:1. Talk, talk and more talk
2. Be 24 hours in front of computer
3. Live alone whole life (had nice experience while I was in Delhi)

Three things I can’t do:
1. Find my own mistakes.
2. Eat non-veg or drink alcohol .
3. Start a conversation with a unknown person (Spl: guls).

Three things you should listen to:
1. Your heart and that inner voice!.
2. Music.
3. People who care for you.

Three things you should never listen to:1. Negative thinkers
2. Your girl friend’s friends (I don’t have one but my friends say so)
3. Office politics

Three things I’d like to learn:1. Parkour (See this for more info http://en.wikipedia.org/wiki/Parkour)
2. How to talk to a girl without being nervous
3. To say yes I can do it (sounds easy but its not)
Three things I’d like Change about me:1. My bad habit of face reading
2. Being emotional on each and everything
3. Oops i dont know (you can suggest always)

Three favorite foods:
1. Dal Makahni and chawal
2. Pani puri
3. Khandvi (a Gujrati dish)

Three beverages I drink regularly:1. Tea 
2. Water
3. Strong Coffee

Three TV shows I Like :1. Left right left
2. Shows about gadgets or science on discovery
3. Swades (I used to see about 10 year ago on DD Metro)

Three people inspire me :
1. Bhagat singh (when it comes to Love for country as well as humankind )
2. Dhirubhai ambani (when it comes to business)
3. Goutam Buddha (when it comes to life)

Three things inspire me :
1. Futuristic gadgets
2. sci-fi movies
3. challenges

Friday, March 18, 2011

Tu sath mere hai,tu paas mere hai


Tu sath mere hai,tu paas mere hai,
Janta houn main ye din sunehre hain.
Is dil ki khatir tu paas hai mere,
Jaane kya kya is dil mein,armaan tere hain.
Teri tasveer jab dekhoun,mujh ko yaad aaye tu,
Saanson mein,aahon mein,dharkan mein mere hai.
Jeena tere liye,marna teri khatir,
Ishq ka sehra bandha sar par mere hai.
Umeed hai tujh ko,main paaounga ik din,
Dua tujh ko paane ki,ab lab pe mere hai

Nazar Ne Nazar Se Mulakaat Kar.



Nazar Ne Nazar Se Mulakaat Kar Rahe Dono Ekdam Khamoshh Phir Bhi Baat Kar Li Kuchh Samay Baad Mohabbat Ki Fizaa Ko Tab Jaana Jab Khud Ko Akela Paaya Aur Tab Meri Inn Aankhon Ne Roe Roe Kar Barsaat Kar Li!
Meri Khamoshhi Thi Jo Seh Gayi Uski Yaadein Hi Ab Iss Dil Mein Reh Gayi Thi Shayad Uski Bhi Koi Majboorijo Meri Zindagi Ki Yeh Kahani Adhoori Reh Gayi
Woh Nadiyan Nahi Thi Aansu The Mere,Jis Par Woh Kashti Chalate Rahe,Manzil Mile Unhe Yeh Chahat Thi Meri, Isliye Hum Bhi Bina Ruke Aansu Bahate Rahe….
Hasne Ke Bad Kyon Rulati Hai Duniya,Jane Ke Bad Kyn Bhulti Hai Duniya.Zndgi Me Kya Kuch Kasar Baki Ti,Jo Marne Ke Bad Bi Jalati Hai Duniya,
Mohabbat Ka Ajeeb Karobaar Hum Ne Kiya,….Woh Bewafa Sehi Magar Pyaar Hum Ne Kiya Woh Chor Gayea To Mat Keho Bura Us Ko,…Qasoor Uska Nahe “Aitebaar” Hum Ne Kiya!
Lekar Hum Dusro Ke Hasi Kya Kare Jo Apni Nahi Woh Khusi Kya Kare Isse To Behtar Hai Marjana Hume Jab Saath Woh Nahi To Zindagi Jeekar Kya Kare
Yun Humko Satane Ki Jarurat Kya Thi.. Dil Mera Jalane Ki Jarurat Kya Thi.. Jo Nahi Tha Ishq To Kah Diya Hota.. Dil Mera Tod Ke Jane Ki Jarurat Kya Thi.
Sharabi Ilzaam Sharab Ko Deta Hai. Aashiq B Ilzaam Shabaab Ko Deta Hai. Koi Nai Karta Kabulapni Bhul. Kanta B Ilzaam Gulab Ko Deta Hai.
Gam Ka Shikwa Kabi Na Karna, Gam To Cheez Hi Aisi Hai,Aap Sada Khush Rahen Hamara Kya, Hamari To Taqdeer Hi Aisi Hai.
Ji Bhar Ke Roye To Karar Paaya..Is Daur Me Kisne Sachha Pyar Paaya..Zindagi Guzar Rahi Hai Imtihano Ke Daur Se..Ek Zakhm Bhara Nahin Ki Dusra Taiyyar Paaya.
Agar Yeh Zid Hai K Dua Salam Na Ho To Us Raah Se Guzro Jo Rahein Aam Na Ho Suna Hai Mohabbat Mai Log Marte Hai Khuda Kare Mohabbtein Tumhare Naam Na Ho…….
Har Shbad Mein Arth Hota Hai. Har Arth Mein Tark Hota Hai. Wo Kehte Hain K Hum Haste Hain , Lekin Hasne Walo Ke Dil Me B Toh Dard Hota Hai…..
Dil K Raste Or Soch Ki Galiyose Guzarte Dekha.Pyar Or Jazbato Ko Yaha Kuchalte Dekha.Zindegi Mohabat Ka Nam Kaise Kahe,Jabki Har Shaks Ko Humne Badalte Dekha.
Jis Din Hum Unse Dil Laga Baithe,Tanhayi Me Gam Ki Mehfil Sajaa Baithe,Wo To Kho Gaye Is Duniya Ki Bhid Me,Aur Hum Apni Hi Duniyaa Me Aag Laga Baithe.
Idhar Raat Dhalti…Din Udhar Nikalta Hai,Koi Yaha Rukta…Koi Waha Chalta Hai,Deep Aur Patange Me Fark Sirf Itna..Koi Jal K Bujhta…Koi Bujh K Jalta Hai..
Sath Nahi Rehne Se Rishte Nahi Tuta Karte, Waqt Ki Dundh Se Lamhe Nahi Tuta Karte, Log Kahte He Mera Sapna Tut Gaya, Tuti Nind Hai Sapne Nahi Tuta Karte.
Andhere Me Rosni Ka Wajood Shayd Kahi Kho Gaya Hai,Khusi Ka Silsila Bhi Ab To Ateet Ho Gaya Hai,Ik Roshan Shama Banana Chahte The Khud Ko Hum,Taki Door Kar Saken Andhere Ka Gum,Tej Andhi Ne Shama Ka Vajood Usi Andhere Me Dubo Diya Hai….
Chiragon Ko Aur Tej Kar Do Kyunki Roshni Bahut Kam Hai Aur Main Tamaam Umar Tera Intezaar Kar Longa Phir Bhi Yeh Gam Rehega Ki Zindagi Kam Hai
Unki Yaad Mai Aakho Se Din Raat Aasu Hai Barse,Manga Jis Khuda Se B Humne Unhe,Laut Aye Khali Hath Har Us Dar Se,Gunehgar Keh Kar Mili Hume Itni Saza,Par Such To Ye Hai Yaro Hum To Ek Gunha Karne Ko B Tarse

Wednesday, March 16, 2011

Hum Teri Yaadon Ke Chirag Jalaye Bethe Hai



Sard Raaton Ki Tanhaai Mein,
Hum Teri Yaadon Ke Chirag Jalaye Bethe Hai,
Kabhi To Tum Zindagi Ki Haqeeqt Banogi,
Sochkar Palkon Mein Khwab Sajaye Bethe Hai!

Tumhare Saath Ke Lamhe Har Waqt Sata-te Hai,
Ab Tumhare Aane Ki Bus Aas Lagaye Bethe Hai,
Aankhon Mein Ashkon Ko Ab Rok Nahi Pate,
Ki Dil Ko Zabaran Sambhale Huye Bethe Hai!

Kaash Tum Mere Dard-E-Dil Ko Samajh Paao,
Hum Jo Seene Mein Abhi Tak Dabaye Bethe Hai,
Par Woh Jo Humse Dard Bayaan Nahi Karte,
Rehkar Khamosh Konsa Raaz Chhipaye Bethe Hai!

Khushi Bhale Thodi Si Par Dene Ke Liye Shukriya,
Paigam Tere Bheje Huye Seene Se Lagaye Bethe Hai,
Hai Ek Tasveer Bhi Nighahon Mein Teri,
Bus Ab Usiko Mann Ki Murat Banaye Bethe Hai!

Tujhe Yaad Karna Teri Raah Takna Hurdum,
Sab Bhulakar Ab Yeh Ek Naya Kaam Liye Bethe Hai,
Janta Hun Tujhe Paane Ki Khushi-E-Anzaam “SHAMA”,
Fir Bhi Hum Naadan Tumhi Se Dil Lagaye bethe Hai!

Wednesday, February 23, 2011

Tumhi ko chahtey rehna acha lagta hai..


Bhari mehfil main tanha rehna acha lagta hai
Terey barey main sochtey rehna acha lagta hai .

Kabhi phulon main ,kabhi kaliyon main
Tujh ko hi dhundtey rehna acha lagta hai

Meree zindagi ki khushiyan tumhee say hain wabasta
Rab say sirf tumhein hi mangna acha lagta hai

Hamarey darmiyan hai sadiyon ka fasla
Kuch is tarhan guftugu karna acha lagta hai

Tumhrey baghir zindagi ka koi tasavur nahi hai
Kuch is tarhan tumhari tamanna karna achha lagta hai

Tum hi ko chaha,tum hi ko chahtey hain Tumhi ko chahtey rehna acha lagta hai..

Jindagi Kam Hai,.. Jine Ke Liye…

 
Jindagi Kam Hai-Kuch Pane Ko,
Jindagi Kam Hai-Kuch Bantane Ko,

Jindagi Kam Hai-Kuch Kehne Ko,
Jindagi Kam Hai-Kuch Sunne Ko,

Jindagi To Ek Naam Hai,
Jina To Bas Ek Khwab Hai,

Isi Khwab Mein Pure Karne Hai,
Hansi Armaan Jivan Ke,

To Utho, Jaldi Karo, Kyonki,
Jindagi Kam Hai-Jine Ke Liye.