Tuesday, January 31, 2012

Kissi Ki Ankh Se Sapney Chura Ker Kuch Nahi Milta


Kissi Ki Ankh Se Sapney Chura Ker Kuch Nahi Milta
Mandeiron Se Chiraaghon Ko Bhuja Ker Kuch Nahi Milta
Koi Ik Adha Sapna Ho Tou Ho , Acha Bhi Lagta Hai
Hazaron Khawb Ankhon Mein Saja Ker Kuch Nahi Milta
Issay Kehna Ke Palkon Per Na Tanke Khawbon Ke Jhalar
Samandar Ke Kinare Ghar Bana Ker Kuch Nahi Milta
Yeh Acha Hai Ke Apas Ke Bharam Na Tootne Payen
Kabhi Kabhi Doston Ko Azma Ker Kuch Nahi Milta
Mujhe Aksar Sitaron Se Yehi Awaaz Aati Hai
Kissi Ke Hijr Mein Neendein Ga’nwa Ker Kuch Nahi Milta
Jigar Ho Jayega Chalni Yeh Ankhein Khoon Royengi
Wasi Be Faiz Logon Se Nibha Ker Kuch Nahi Milta…!!!

Kal Halki Si Barsaat Mein Ho Gayi Mulaakat Unse


Kal Halki Si Barsaat Mein Ho Gayi Mulaakat Unse,
Nazron Ki Shabnam Ne Jaise Kar Li Ho Har Baat Unse,
Unki Aankhon Mein Thi Aisi Kashish Ke Kya Kahein,
Mere Jism Ke Rom Rom Ne Kar Li Mohabbat Unse,
Masoom Hai Kuch Is Qadar Unki Chhuwan Ka Ehsaas,
Aakhir Ek Mod Par Kar Li Meri Haya Ne Hararat Unse,
Palkon Ke Parde Mein Karwat Leti Thi Kuch Paak Khataye,
Meri Muskurahat Ne Kar Hi Li Ho Jaise Shararat Unse,
Gaane Lagi Unki Khamoshi Kuch Aise Haseen Nagme,
Sambhle Na Jaate The Shayad Apne Khayalaat Unse,
Mera Aanchal Bhi Karne Laga Kyon Bewafayi Mujhse,
Chhuda Ke Mere Haathon Ki Zameen Gaya Lipat Unse,
Boondon Mein Baras Raha Ho Jaise Aasmaan Se Pyar Beshumar,
Kuch Khamosh Se Sawalon Ke Mil Gaye Ho Jawaabaat Unse…